Friday, April 11, 2025

Discover Unique Gifts & Style at Hamdan Prints – Custom Tees, Hoodies, Mugs & More!

 Are you searching for a thoughtful gift or something stylish to treat yourself?

Welcome to Hamdan Prints, a creative space where fashion meets emotions!

At Hamdan Prints, every product should reflect your vibe, personality, and story. Whether it’s a cozy hoodie, a funky t-shirt, a coffee mug that makes mornings better, or a custom pendant that feels personal, we’ve got it all for you!




🌟 Why do People Love Hamdan Prints?

  • Trendy T-shirts with eye-catching designs

  • Warm Hoodies that scream comfort and style

  • Cute Coffee Mugs – perfect for gifting or sipping ☕

  • Personalized Pendants that make moments memorable

All products are designed with love and printed on demand — just for YOU.

πŸ’¬ Who is it for?

  • For the best friend who always makes you laugh

  • For the sibling who deserves something special

  • For you — because self-love is the best love πŸ’•

🌍 Ships Worldwide

We proudly offer international shipping, so wherever you are, you can experience the magic of Hamdan Prints.






πŸ‘‰ Explore the store now and find your next favorite item:

πŸ‘‰ Visit Hamdan Prints Store Now!


πŸ’‘ Tip: Don’t wait for a reason to gift something. Be the reason!

Follow us on YouTube for the latest drops and designs:

πŸŽ₯ Subscribe to Unwrap Magic on YouTube!


Thank you for supporting small creators with big dreams!

— With love,
Founder, Hamdan Prints



Monday, April 7, 2025

Ramadan ke Baad Wapas Zindagi Kaise Set Karein – Ek Student Ki Real Journey ✨

assalam walekum dosto! 🀍


Ramadan abhi khatam hua hai, aur sach batau toh… thoda blank feel ho raha hai. Aap bhi feel kar rahe ho? Toh yeh post specially aapke liye hai.


πŸŒ™ Ramadan + Exams = Ek Alag Hi Level Ka Combo

Pichhle saal final year ke exams the — aur woh bhi Ramadan ke dauraan. Subah Sehri, din bhar fasting, aur beech mein exam preparation... it was tough, lekin ek spiritual power bhi milti thi.
Lekin jab Ramadan khatam hua… toh ek silence chha gaya. Na woh routine raha, na woh discipline. Aur fir aayi sabse badi feeling – "Ab kya?"


“A calm start to a new routine after Ramadan.”



 Routine Reset – Wapas Track Pe Aane Ke 5 Simple Steps

Yahan kuch personal steps share kiye gaye hain jo Ramadan ke baad wapas energy aur motivation paane mein help karte hain:

1. Late Uthna Dheere Dheere Band Karo

Ramadan ke baad neend ka schedule thoda off ho jata hai. Alarm 15-20 minutes pehle set karna start karo. Dheere dheere body wapas adjust ho jaati hai.

2. Ek Naya Mini Goal Set Karo

Kisi nayi cheez pe focus karo – jaise blogging, koi naya hobby, short course ya fitness challenge. Motivation boost milega.

3. Hydration + Light Diet Rakho

Fasting ke baad body ko light aur healthy food chahiye hota hai. Zyada oily khane se bacho aur paani zyada piyo – skin aur energy dono better feel hoti hai.

 4. Digital Detox Lite Try Karo

Thoda time phone se door rehna kaafi refresh karta hai. Ek diary ya journal banao jahan Ramadan ke goals likho aur unko continue karne ki koshish karo.

 5. Dua aur Shukr Continue Rakho

Ramadan ke baad bhi inner peace zaroori hai. Raat ko sirf 5 minutes dua aur shukriya bolna – dil ko sukoon milta hai.


πŸ’¬ Tumhara Kya Experience Raha?

Agar tum bhi ek student ho, ya Ramadan + exam combo face kiya ho – comments mein zaroor apna experience share karo. Let’s support each other! πŸ’›

Agle post mein baat hogi:
"Ghar Baithe Blogging Se Income Kaise Start Karein – Students ke Liye Easy Guide."
So stay tuned!

Sunday, March 30, 2025

πŸ‘­ Ek Achi BFF Milna Itna Aasaan Nahi – Mera Bestie Ke Saath Safar!


"BFF – Ek Aisi Dosti Jo Hamesha Saath Rahe! πŸ’–πŸ‘­"

"Best Friends Forever – Na Koi Door Kar Saka, Na Koi Replace! πŸ’•"


πŸ”Ή Bachpan Ki Dosti, Jo Aaj Tak Waisi Hi HaiMeri aur meri BFF ki dosti bachpan se hai. Hum dono ke naam bhi ek jaise hi hain, bilkul chiki-minki jaisa! School mein sabhi hum dono ke naam lekar confuse ho jaate the aur aksar yeh kehte the ki hum dono behne lagti hain.

πŸ”Ή Har Jagah Saath – School Se College Tak Bachpan mein sirf saath khelne tak baat nahi thi, balki saath padhai bhi hoti thi. Har jagah saath – school ho, tuition ho ya college, humne ek doosre ka saath kabhi nahi chhoda. 12th mein bhi humne same stream choose ki, sirf isliye ki ek doosre ke saath reh sakein. College mein bhi ek hi course liya, taaki hamesha ek doosre ke saath rahein.

πŸ”Ή Dosti Jahan Hoti Hai, Wahan Jalan Bhi Hoti Hai Dost toh aur bhi the, lekin jahan zyada dosti hoti hai wahan jalan bhi hoti hai. Aise hi ek ladki aayi jo hamare beech duriyan laane ki koshish kar rahi thi. 10th class tak hum dono ek hi section mein the, lekin uske baad alag ho gaye. Bahut koshish ki, lekin ek hi class mein aana possible nahi ho paya. Is wajah se ek chhoti si doori aayi, lekin humne uska asar kabhi apni dosti par nahi hone diya.

πŸ”Ή Dukh-Sukh Ka Saathi Humne saath mein hasa, roye, ek doosre ka gussa bardasht kiya aur bina shabd kahe ek doosre ko samjha bhi. College ke dauraan bhi hum alag hone se bas thoda sa bach gaye!

πŸ”Ή Ek Hi BFF, Zindagi Bhar! Aaj tak hum dono ne kisi aur ko BFF nahi banaya, na banane ka mauka diya. Doston ki kami nahi, lekin jo jagah ek best friend ki hoti hai, woh sirf ek hi ko di ja sakti hai. Hamari dosti aaj bhi waise hi hai – jab bhi milte hain toh purani yaadon mein kho jaate hain aur wohi bachpana dobara jeete hain.

πŸ”Ή Masti, Pagalpanti Aur Purani Yaadein Ek din hum apne chhoti behan-bhai ko school le jaane gaye, aur wahan bhi mil kar itna masti ki ki sabhi bache humein senior students samajhne lage! Hamara rishta aisa hai ki jab bhi milte hain, duniya bhool jaate hain.

πŸ”Ή Meri BFF, Meri Jaan! ❤️ I love my BFF! Aur main usse dil se kehna chahti hoon – Thank you for coming into my life.

Mujhe lagta hai ki meri BFF duniya ki sabse best friend hai, kyunki woh mujhe samajhti hai, mere gusse ko bardasht karti hai, aur har achhe-bure waqt mein mere saath hoti hai. Ab hum dono ek doosre ki shaadi ka intezar kar rahe hain, jisme hamesha ki tarah saath mil kar enjoy karenge! πŸŽ‰


πŸ’¬ Aur aapki kya soch hai dosti ko lekar? Kya aapke life mein koi aisa hai jo aapke liye ek BFF jaisa hai? Kya aap bhi maante ho ki dosti toh bahut logon se hoti hai, par forever wala darja sirf ek ko hi milta hai? Comment karke zaroor batayein! πŸ€”πŸ’–


πŸ“’ Aapki Dosti Ki Kahani Kya Hai?
Agar aapki bhi ek BFF hai jiske bina zindagi adhuri lagti hai, toh comment karke batao! πŸ’¬
Aapke liye "Forever Best Friend" ka kya matlab hai? Kya aap bhi maante ho ki asli dosti ek hi insaan ke saath hoti hai? πŸ€”πŸ’–

Sunday, March 23, 2025

"Chhota Sa Break - Exams Ki Tayari Mein Busy! πŸŽ“✨"

Namaste doston! ❤️
 
 Aap sabka dil se shukriya ke aap mere blog GSSWM (Ghar Se Safar With Me) ka hissa ho aur itna pyaar dete ho. Aaj main aapse ek chhoti si baat share karna chahti hoon – mere final year ke exams shuru hone wale hain πŸ“š, isliye main kuch din ke liye blogging se thoda sa break le rahi hoon. Yeh waqt mere liye kaafi important hai, aur main chahti hoon ki main apne exams par puri tarah focus karu.
Lekin fikar mat kijiye! Jaise hi exams khatam honge, main wapas lautungi naye experiences, kahaniyon aur personal safar ke naye rang lekar. Aapke saath fir se apni journey ko share karna mere liye sabse zyada khushi ki baat hogi. 🌸 Tab tak aap sab mere liye duaayein karna aur thoda sa intezaar bhi 😊

πŸ™. Milte hain exams ke baad ek naye josh ke saath! πŸ’ͺ


 Apka apna,
 GSSWM 



 #GSSWM #LifeJourney #StudyBreak #ExamsTime #SeeYouSoon #ThankYou

Thursday, March 20, 2025

Ghar Se Freelancing Ka Safar

  Pehla Kadam Aur Seekhi Hui Baatein

"Chhote sapno se bade iraade – ghar se apne sapno ko udaan de rahi hoon. πŸŒΈπŸ’» #GSSWM #MeriKahani"


Mera Parivaar Aur Gaon Ki Zindagi

Main ek joint family me ek chhote se gaon me rehti hoon. Yahan ladkiyon ke liye ghar ke bahar jakar kaam karna mushkil hai. Family ke apne rules hain – ladkiyon ka phone chalana bhi ek badi baat hoti hai.

Ghar Se Kaam Karne Ka Sochna

Jab ghar ke kaam ke saath apna career banana mushkil ho, tab sapne dekhna bhi ek challenge lagta hai. Lekin maine decide kiya ki jo bhi karungi, ghar se hi karungi.

Reselling Ka Pehla Kadam

Maine har jagah research ki, videos dekhe, aur tab mujhe reselling ka idea mila. Maine apni friend ke sath Gloroad par kaam shuru kiya. WhatsApp aur Pinterest ka use kiya, lekin kuch time ke baad problems ke wajah se yeh kaam chhod diya.

YouTube Aur Freelancing Ki Shuruaat

Fir maine apne bhai ke sath milkar ek YouTube channel start kiya. Iske sath-sath freelancing aur blogging me bhi interest lena shuru kiya. Pehle to mushkil laga, lekin dheere dheere seekhne lagi.

Blogging Ka Sapna Aur Aaj Ka Din

Aaj blogging ke zariye main apni kahani aur jo kuch maine seekha wo duniya ke sath share kar rahi hoon. Yeh mere liye sirf ek blog nahi, ek sapna hai jo main poora karna chahti hoon.

Aapka Support Kyon Jaruri Hai

Agar aap bhi meri kahani se judte ho ya inspire hote ho, to please mujhe support karein! Aapka ek like, comment ya feedback mere liye ek nayi umeed hai.

Dhanyavaad! ❤️

  • GSSWM (Ghar Se Safar With Me)




Wednesday, March 19, 2025

Meri College Journey

 Ek Gaon Ki Ladki Ka Badlav Bhara Safar

Main ek chhote se gaon se hoon jahan par ladkiyon ka college jaana koi aam baat nahi thi. Hamare gaon mein sirf ek ladki thi jo college gayi thi, jinke paas main tuition padhti thi. Vo hamare gaon ki pehli ladki thi jo college tak pahunchi thi. Unhe dekh kar hi mere sapne bade hue.

Mere kuch doston ke saath mere ghar walon ne decide kiya ki hum sab ek saath ek bade mix (girls + boys) college mein admission lein. Mere ek dost ke papa ne mere papa se baat ki aur mere papa ko mujh par hamesha bharosa tha. Papa ne mujhe bhi pucha ki kya main us bade college mein jaana chahti hoon? Lekin gaon ke logo aur padose ke react karne ka tareeka dekh kar main thoda ghabra gayi aur decide kiya ki main ek girls college hi jaungi.

Papa ne kaha ki jo tujhe theek lage tu vo kar. Aur phir main aur mere 2 best friends ek girls college mein chale gaye.

"Hum teen dost, naye college ke canteen me apne sapno ko jeete hue – yaadgar din jo zindagi bhar yaad rahenge."





College Life Ki Masti

Mujhe us waqt ye nahi pata tha ki ye college ka safar sirf kuch hi din ka hoga. Ham teeno dost college mein milkar badi masti karte the. Kabhi canteen mein jaate, kabhi college ke har kone mein ghoomte rehte. Hamare group ke aage poore college mein humari hi chali chalti thi. Hum canteen ke permanent customer ban gaye the, canteen wale uncle bhi hume ache se pehchanne lage the.

Lekin kuch mahine baad ek twist aa gaya.

College Change Karna Pada

Roz college jaana mushkil ho gaya kyunki girls college ka rule bahut strict tha aur family circumstances bhi badal gaye the. Mere ek dost ne to bade wale mix college mein transfer le liya, jabki main aur meri best friend ne external mode mein admission le liya.

BCA Ka Safar

External admission ke bawajood hum kabhi kabhi college jaate rehte the. Jab college badla to course bhi badla. Pehle main BA kar rahi thi, lekin naye college mein maine BCA select kar liya. Bina soche samjhe bas itna socha ki ghar se kaam karne ke options milenge.

Jab padhaai shuru hui tab pata chala ki BCA itna bhi aasaan nahi hai! Lekin ab rasta chuna tha to chalna to tha hi. Isme maine apni best friend ko bhi saath le liya tha. Jab usse dikkat hoti to kehti – “Tune hi fasaya mujhe BCA mein!”

Lekin sach to yeh hai ki hum dono ne mil kar hi ye decision liya tha. Sir ne bhi kaha tha – “BCA external ke liye nahi hai.” Par ab karna tha to karna tha.


Teen Saal Ka Safar

Teen saal kaise nikal gaye pata hi nahi chala. Beech beech mein failures bhi mile, challenges bhi aaye, par himmat nahi haari. Aakhir mein hum dono ache numbers se pass ho gaye.

Sabse zyada mushkil waqt aaya jab final year ka project banana tha. Tab samajh aaya ki college ka asli tension kya hota hai.

College Life Ki Yaadein

Mere liye asli college life wahi kuch din the jab main girls college mein apni best friends ke saath enjoy karti thi. Uske baad ka safar ek zimmedari wala safar tha jo kabhi aasan to kabhi kathin raha.

Par haan, ek baat zarur kahungi – "School ke din alag hote hain aur college ke din alag."

Conclusion

Aaj jab peeche mudh kar dekhti hoon to lagta hai ki woh college ke din meri zindagi ka ek anmol hissa the. Unhi dino ne mujhe strong banaya aur aage badhne ka hosla diya.



"Agar aapko meri kahani pasand aayi ho to comment karke zaroor batayein, aur apni journey bhi share karein!"


Tuesday, March 18, 2025

Meri Study Journey – Ghar Se Career Tak

Meri Study Journey


Main ek chote se gaon se belong karti hoon,

jahan padayi ka mahol ladkiyon ke liye hamesha se mushkil raha hai. Main ek joint family me rehti hoon, jahan 25 log ek sath rahte hain. Itne bade parivaar me padhna, sapne dekhna aur un sapno ko pura karna itna asaan nahi tha.

Jab maine apni 10th class complete ki, tab parivaar ke logon ne kehna shuru kar diya tha ki "ab bus, itna kaafi hai, ladki hai, kya karegi zyada padh ke." Lekin mere papa mere saath khade rahe. Unhone mujh par bharosa kiya aur kaha ki "padhai jaari rakh." Papa ke is ek faisle ne meri zindagi badal di.






Mujhe yaad hai, jab main 10th me thi to beech me ek baar gir gayi thi aur mujhe ek mahine tak padhai se door rehna pada. Par mere papa ka kehna tha ki "tu exam degi." Main nahi dena chahti thi, dar gayi thi, roti thi, par papa ka sapna tha mujhe padhai me aage badhte dekhna. Unhi ke liye maine exam diya aur pass ho gayi.


Jab maine 12th pass ki to log kehne lage, "ab to bahut badi baat hai,

 ladki ne 12th tak padhai kar li." Gaon ke logon ki soch thi ki ladkiyon ko sirf ghar ka kaam hi karna chahiye, lekin mere papa ki soch alag thi. Unhone hamesha kaha, "padhegi to aage badegi."





Aur aaj main apne ghar ki pehli ladki hoon jo college ja rahi hai. Na meri ghar ki kisi beti ne, na kisi bahu ne itna padha hai. Yeh sirf mere papa ke support ki wajah se ho paya hai.


Mujhe yaad hai jab main exam ke din tension me hoti thi, to mere aas paas ke log kehte the, "kya karegi itna pad ke? Aakhir me to shaadi kar ke ghar ka kaam hi karegi." Main kabhi kabhi roti thi, kabhi haar bhi maan leti thi mann hi mann me. Lekin jab bhi papa ka chehra yaad aata tha, unka bharosa yaad aata tha, to main khud ko mazboot karti thi.


Papa ke support ne mujhe yeh sikha diya ki zindagi me padhna sirf ek naukri ke liye nahi hota, balki apne sapne poore karne ke liye hota hai. Aaj main apne career me aage badhne ki koshish kar rahi hoon,




 freelancing ka safar shuru kiya hai aur apni pehchan banane me lagi hoon. Mera ek sapna hai ki ek din ghar baith kar itna kamaoon ki papa ko mujh par garv ho.


Yeh journey asaan nahi thi, lekin aaj jo bhi hoon, jo bhi ban rahi hoon, wo sirf mere papa ke bharose aur himmat ke wajah se hai.


Mujhe pata hai ki kai ladkiyan aaj bhi mere jaise sapne dekh rahi hongi, lekin unhe darr hai logon ke taano ka, family pressure ka. Main un sab ladkiyon ko yahi kehna chahti hoon – agar ek insaan bhi tumhare saath ho, jaise mere papa mere saath the, to tum duniya ki har mushkil paar kar sakti ho.


Aakhir me bas itna kehna chahungi – padhna zaruri hai, 






sapne zaruri hai, aur apne sapno ko sach karna aur bhi zaruri hai.

Zindagi – Ek Safar, Jo Kabhi Rukta Nahi

  Zindagi... ek aisi kitaab jiska har panna alag hota hai, kabhi khushi se bhara hua, to kabhi aansuon se geela. Kabhi samajh hi nahi aata k...