Pehla Kadam Aur Seekhi Hui Baatein
![]() |
| "Chhote sapno se bade iraade – ghar se apne sapno ko udaan de rahi hoon. πΈπ» #GSSWM #MeriKahani" |
Mera Parivaar Aur Gaon Ki Zindagi
Main ek joint family me ek chhote se gaon me rehti hoon. Yahan ladkiyon ke liye ghar ke bahar jakar kaam karna mushkil hai. Family ke apne rules hain – ladkiyon ka phone chalana bhi ek badi baat hoti hai.
Ghar Se Kaam Karne Ka Sochna
Jab ghar ke kaam ke saath apna career banana mushkil ho, tab sapne dekhna bhi ek challenge lagta hai. Lekin maine decide kiya ki jo bhi karungi, ghar se hi karungi.
Reselling Ka Pehla Kadam
Maine har jagah research ki, videos dekhe, aur tab mujhe reselling ka idea mila. Maine apni friend ke sath Gloroad par kaam shuru kiya. WhatsApp aur Pinterest ka use kiya, lekin kuch time ke baad problems ke wajah se yeh kaam chhod diya.
YouTube Aur Freelancing Ki Shuruaat
Fir maine apne bhai ke sath milkar ek YouTube channel start kiya. Iske sath-sath freelancing aur blogging me bhi interest lena shuru kiya. Pehle to mushkil laga, lekin dheere dheere seekhne lagi.
Blogging Ka Sapna Aur Aaj Ka Din
Aaj blogging ke zariye main apni kahani aur jo kuch maine seekha wo duniya ke sath share kar rahi hoon. Yeh mere liye sirf ek blog nahi, ek sapna hai jo main poora karna chahti hoon.
Aapka Support Kyon Jaruri Hai
Agar aap bhi meri kahani se judte ho ya inspire hote ho, to please mujhe support karein! Aapka ek like, comment ya feedback mere liye ek nayi umeed hai.
Dhanyavaad! ❤️
- GSSWM (Ghar Se Safar With Me)

No comments:
Post a Comment