Showing posts with label friendship story. Show all posts
Showing posts with label friendship story. Show all posts

Sunday, March 30, 2025

πŸ‘­ Ek Achi BFF Milna Itna Aasaan Nahi – Mera Bestie Ke Saath Safar!


"BFF – Ek Aisi Dosti Jo Hamesha Saath Rahe! πŸ’–πŸ‘­"

"Best Friends Forever – Na Koi Door Kar Saka, Na Koi Replace! πŸ’•"


πŸ”Ή Bachpan Ki Dosti, Jo Aaj Tak Waisi Hi HaiMeri aur meri BFF ki dosti bachpan se hai. Hum dono ke naam bhi ek jaise hi hain, bilkul chiki-minki jaisa! School mein sabhi hum dono ke naam lekar confuse ho jaate the aur aksar yeh kehte the ki hum dono behne lagti hain.

πŸ”Ή Har Jagah Saath – School Se College Tak Bachpan mein sirf saath khelne tak baat nahi thi, balki saath padhai bhi hoti thi. Har jagah saath – school ho, tuition ho ya college, humne ek doosre ka saath kabhi nahi chhoda. 12th mein bhi humne same stream choose ki, sirf isliye ki ek doosre ke saath reh sakein. College mein bhi ek hi course liya, taaki hamesha ek doosre ke saath rahein.

πŸ”Ή Dosti Jahan Hoti Hai, Wahan Jalan Bhi Hoti Hai Dost toh aur bhi the, lekin jahan zyada dosti hoti hai wahan jalan bhi hoti hai. Aise hi ek ladki aayi jo hamare beech duriyan laane ki koshish kar rahi thi. 10th class tak hum dono ek hi section mein the, lekin uske baad alag ho gaye. Bahut koshish ki, lekin ek hi class mein aana possible nahi ho paya. Is wajah se ek chhoti si doori aayi, lekin humne uska asar kabhi apni dosti par nahi hone diya.

πŸ”Ή Dukh-Sukh Ka Saathi Humne saath mein hasa, roye, ek doosre ka gussa bardasht kiya aur bina shabd kahe ek doosre ko samjha bhi. College ke dauraan bhi hum alag hone se bas thoda sa bach gaye!

πŸ”Ή Ek Hi BFF, Zindagi Bhar! Aaj tak hum dono ne kisi aur ko BFF nahi banaya, na banane ka mauka diya. Doston ki kami nahi, lekin jo jagah ek best friend ki hoti hai, woh sirf ek hi ko di ja sakti hai. Hamari dosti aaj bhi waise hi hai – jab bhi milte hain toh purani yaadon mein kho jaate hain aur wohi bachpana dobara jeete hain.

πŸ”Ή Masti, Pagalpanti Aur Purani Yaadein Ek din hum apne chhoti behan-bhai ko school le jaane gaye, aur wahan bhi mil kar itna masti ki ki sabhi bache humein senior students samajhne lage! Hamara rishta aisa hai ki jab bhi milte hain, duniya bhool jaate hain.

πŸ”Ή Meri BFF, Meri Jaan! ❤️ I love my BFF! Aur main usse dil se kehna chahti hoon – Thank you for coming into my life.

Mujhe lagta hai ki meri BFF duniya ki sabse best friend hai, kyunki woh mujhe samajhti hai, mere gusse ko bardasht karti hai, aur har achhe-bure waqt mein mere saath hoti hai. Ab hum dono ek doosre ki shaadi ka intezar kar rahe hain, jisme hamesha ki tarah saath mil kar enjoy karenge! πŸŽ‰


πŸ’¬ Aur aapki kya soch hai dosti ko lekar? Kya aapke life mein koi aisa hai jo aapke liye ek BFF jaisa hai? Kya aap bhi maante ho ki dosti toh bahut logon se hoti hai, par forever wala darja sirf ek ko hi milta hai? Comment karke zaroor batayein! πŸ€”πŸ’–


πŸ“’ Aapki Dosti Ki Kahani Kya Hai?
Agar aapki bhi ek BFF hai jiske bina zindagi adhuri lagti hai, toh comment karke batao! πŸ’¬
Aapke liye "Forever Best Friend" ka kya matlab hai? Kya aap bhi maante ho ki asli dosti ek hi insaan ke saath hoti hai? πŸ€”πŸ’–

Wednesday, March 19, 2025

Meri College Journey

 Ek Gaon Ki Ladki Ka Badlav Bhara Safar

Main ek chhote se gaon se hoon jahan par ladkiyon ka college jaana koi aam baat nahi thi. Hamare gaon mein sirf ek ladki thi jo college gayi thi, jinke paas main tuition padhti thi. Vo hamare gaon ki pehli ladki thi jo college tak pahunchi thi. Unhe dekh kar hi mere sapne bade hue.

Mere kuch doston ke saath mere ghar walon ne decide kiya ki hum sab ek saath ek bade mix (girls + boys) college mein admission lein. Mere ek dost ke papa ne mere papa se baat ki aur mere papa ko mujh par hamesha bharosa tha. Papa ne mujhe bhi pucha ki kya main us bade college mein jaana chahti hoon? Lekin gaon ke logo aur padose ke react karne ka tareeka dekh kar main thoda ghabra gayi aur decide kiya ki main ek girls college hi jaungi.

Papa ne kaha ki jo tujhe theek lage tu vo kar. Aur phir main aur mere 2 best friends ek girls college mein chale gaye.

"Hum teen dost, naye college ke canteen me apne sapno ko jeete hue – yaadgar din jo zindagi bhar yaad rahenge."





College Life Ki Masti

Mujhe us waqt ye nahi pata tha ki ye college ka safar sirf kuch hi din ka hoga. Ham teeno dost college mein milkar badi masti karte the. Kabhi canteen mein jaate, kabhi college ke har kone mein ghoomte rehte. Hamare group ke aage poore college mein humari hi chali chalti thi. Hum canteen ke permanent customer ban gaye the, canteen wale uncle bhi hume ache se pehchanne lage the.

Lekin kuch mahine baad ek twist aa gaya.

College Change Karna Pada

Roz college jaana mushkil ho gaya kyunki girls college ka rule bahut strict tha aur family circumstances bhi badal gaye the. Mere ek dost ne to bade wale mix college mein transfer le liya, jabki main aur meri best friend ne external mode mein admission le liya.

BCA Ka Safar

External admission ke bawajood hum kabhi kabhi college jaate rehte the. Jab college badla to course bhi badla. Pehle main BA kar rahi thi, lekin naye college mein maine BCA select kar liya. Bina soche samjhe bas itna socha ki ghar se kaam karne ke options milenge.

Jab padhaai shuru hui tab pata chala ki BCA itna bhi aasaan nahi hai! Lekin ab rasta chuna tha to chalna to tha hi. Isme maine apni best friend ko bhi saath le liya tha. Jab usse dikkat hoti to kehti – “Tune hi fasaya mujhe BCA mein!”

Lekin sach to yeh hai ki hum dono ne mil kar hi ye decision liya tha. Sir ne bhi kaha tha – “BCA external ke liye nahi hai.” Par ab karna tha to karna tha.


Teen Saal Ka Safar

Teen saal kaise nikal gaye pata hi nahi chala. Beech beech mein failures bhi mile, challenges bhi aaye, par himmat nahi haari. Aakhir mein hum dono ache numbers se pass ho gaye.

Sabse zyada mushkil waqt aaya jab final year ka project banana tha. Tab samajh aaya ki college ka asli tension kya hota hai.

College Life Ki Yaadein

Mere liye asli college life wahi kuch din the jab main girls college mein apni best friends ke saath enjoy karti thi. Uske baad ka safar ek zimmedari wala safar tha jo kabhi aasan to kabhi kathin raha.

Par haan, ek baat zarur kahungi – "School ke din alag hote hain aur college ke din alag."

Conclusion

Aaj jab peeche mudh kar dekhti hoon to lagta hai ki woh college ke din meri zindagi ka ek anmol hissa the. Unhi dino ne mujhe strong banaya aur aage badhne ka hosla diya.



"Agar aapko meri kahani pasand aayi ho to comment karke zaroor batayein, aur apni journey bhi share karein!"


Zindagi – Ek Safar, Jo Kabhi Rukta Nahi

  Zindagi... ek aisi kitaab jiska har panna alag hota hai, kabhi khushi se bhara hua, to kabhi aansuon se geela. Kabhi samajh hi nahi aata k...