Tuesday, July 15, 2025

Zindagi – Ek Safar, Jo Kabhi Rukta Nahi

 

Zindagi... ek aisi kitaab jiska har panna alag hota hai, kabhi khushi se bhara hua, to kabhi aansuon se geela. Kabhi samajh hi nahi aata ke kis mod pe kya milega.

Kabhi hum soch ke baith jaate hain ke ab sab khatam ho gaya... par Zindagi hamesha ek nayi subah le aati hai.

Zindagi sikhati hai... girna bhi, sambhalna bhi.

Main bhi kabhi bohot thak gayi thi, laga tha ke ab aur nahi ho paayega... par phir andar se ek awaaz aayi – "Tu ruk mat, tu banaayi gayi hai kuch khaas ke liye."



Kamyabi ka rasta mushkil zaroor hota hai, par bekaar nahi.

Zindagi mein har kisi ka ek apna safar hota hai. Koi dikhata nahi, par har kisi ke dil mein ek kahani chhupi hoti hai.

Main seekh rahi hoon, har din ek nayi lesson.

Kabhi kisi ke ek chhoti si smile se din ban jaata hai. Kabhi kisi ke harsh shabd dil ko tod dete hain. Par Zindagi ka matlab sirf jeena nahi hota, mehsoos karna hota hai – har pal ko.

Toh agar aap bhi kabhi thake hue ho, toh yaad rakhna...


Zindagi abhi baaki hai, aur iske raaste khud tumse roshan honge.

Chalo jeeyein... bina kisi shikayat ke, bina kisi darr ke.
Zindagi ek gift hai – isse khul ke mehsoos karo. πŸ’«

Thursday, May 29, 2025

Mera Safar – Pehli Graduate Ladki Ban’ne Ki Kahani

 Namaste Doston,

Aaj main jo baat share kar rahi hoon, woh sirf ek degree ke paper ki nahi... ek ladki ke sapne, sangharsh aur jeet ki kahani hai.

Jee haan – main ab officially graduate ho chuki hoon! πŸŽ‰
Aur yeh kehna chhoti baat lag sakti hai, lekin jinhone meri journey dekhi hai, unke liye yeh ek bade sapne ka sach hona hai.


Jab Log Kehte The – “Padhai Karke Kya Karegi?”

Pehle jab main padhti thi, to log kehte the:

“Itna padhne ka kya faayda?”
“Ladki ho, ghar ka kaam seekho!”
“Degree leke kya karegi?”

Lekin maine har taana, har shabd ko ek fuel banaya apne sapno ke liye.

Main padhte padhte rona bhi jaanti thi, par rukna nahi aaya mujhe. Main girti thi, par uthti bhi thi. Aur aaj jab graduation complete hua, wahi log keh rahe hain:

“Bahut khushi hui, tumne sach mein kamaal kar diya.”
“Humein tum par garv hai.”
“Party kab de rahi ho?” 🎊




Main Pehli Ladki Hoon Ghar Mein Jo Graduate Hui Hai

Yeh baat mere liye aur bhi khaas isliye hai kyunki main apne ghar ki pehli ladki hoon jiske haath mein degree hai.
Jo kabhi sirf kitchen aur shaadi tak seemit samjhi jaati thi, aaj uske naam ke aage “Graduate” likha ja raha hai.

Yeh sirf mera sapna nahi tha – yeh har us ladki ka sapna hai jise society ne rokne ki koshish ki.
Main un sab ko yeh kehna chahti hoon – rukna mat, kyunki tumhare safar ka anjaam kisi aur ke “mukhaute” se nahi, tumhare “hausle” se tay hota hai.


Aaj Khud Se Keh Pa Rahi Hoon – “Tu Jeet Gayi”

Aaj dil se ek hi baat nikalti hai:

“Tu jeet gayi, tu safal hui...
tu wahi ladki hai jisko log kabhi rokna chahte the.”

Aur haan, party zarur milegi, lekin sirf khaane ki nahi – us jeet ki jo har chhoti ladki ke sapne ko zinda rakhti hai.


Aap sabhi ka shukriya – jinhone support kiya, aur unka bhi jinhone doubt kiya, kyunki unhi ne mujhe mazboot banaya πŸ’ͺ

Aap bhi agar kisi ladki ke sapno ko udne dena chahte ho, to usse par naya nahi, bharosa karo.

#GSSWM #GraduationJourney #PehliGraduate #LadkiKeSapne #HauslaJeetHai



Friday, April 11, 2025

Discover Unique Gifts & Style at Hamdan Prints – Custom Tees, Hoodies, Mugs & More!

 Are you searching for a thoughtful gift or something stylish to treat yourself?

Welcome to Hamdan Prints, a creative space where fashion meets emotions!

At Hamdan Prints, every product should reflect your vibe, personality, and story. Whether it’s a cozy hoodie, a funky t-shirt, a coffee mug that makes mornings better, or a custom pendant that feels personal, we’ve got it all for you!




🌟 Why do People Love Hamdan Prints?

  • Trendy T-shirts with eye-catching designs

  • Warm Hoodies that scream comfort and style

  • Cute Coffee Mugs – perfect for gifting or sipping ☕

  • Personalized Pendants that make moments memorable

All products are designed with love and printed on demand — just for YOU.

πŸ’¬ Who is it for?

  • For the best friend who always makes you laugh

  • For the sibling who deserves something special

  • For you — because self-love is the best love πŸ’•

🌍 Ships Worldwide

We proudly offer international shipping, so wherever you are, you can experience the magic of Hamdan Prints.






πŸ‘‰ Explore the store now and find your next favorite item:

πŸ‘‰ Visit Hamdan Prints Store Now!


πŸ’‘ Tip: Don’t wait for a reason to gift something. Be the reason!

Follow us on YouTube for the latest drops and designs:

πŸŽ₯ Subscribe to Unwrap Magic on YouTube!


Thank you for supporting small creators with big dreams!

— With love,
Founder, Hamdan Prints



Monday, April 7, 2025

Ramadan ke Baad Wapas Zindagi Kaise Set Karein – Ek Student Ki Real Journey ✨

assalam walekum dosto! 🀍


Ramadan abhi khatam hua hai, aur sach batau toh… thoda blank feel ho raha hai. Aap bhi feel kar rahe ho? Toh yeh post specially aapke liye hai.


πŸŒ™ Ramadan + Exams = Ek Alag Hi Level Ka Combo

Pichhle saal final year ke exams the — aur woh bhi Ramadan ke dauraan. Subah Sehri, din bhar fasting, aur beech mein exam preparation... it was tough, lekin ek spiritual power bhi milti thi.
Lekin jab Ramadan khatam hua… toh ek silence chha gaya. Na woh routine raha, na woh discipline. Aur fir aayi sabse badi feeling – "Ab kya?"


“A calm start to a new routine after Ramadan.”



 Routine Reset – Wapas Track Pe Aane Ke 5 Simple Steps

Yahan kuch personal steps share kiye gaye hain jo Ramadan ke baad wapas energy aur motivation paane mein help karte hain:

1. Late Uthna Dheere Dheere Band Karo

Ramadan ke baad neend ka schedule thoda off ho jata hai. Alarm 15-20 minutes pehle set karna start karo. Dheere dheere body wapas adjust ho jaati hai.

2. Ek Naya Mini Goal Set Karo

Kisi nayi cheez pe focus karo – jaise blogging, koi naya hobby, short course ya fitness challenge. Motivation boost milega.

3. Hydration + Light Diet Rakho

Fasting ke baad body ko light aur healthy food chahiye hota hai. Zyada oily khane se bacho aur paani zyada piyo – skin aur energy dono better feel hoti hai.

 4. Digital Detox Lite Try Karo

Thoda time phone se door rehna kaafi refresh karta hai. Ek diary ya journal banao jahan Ramadan ke goals likho aur unko continue karne ki koshish karo.

 5. Dua aur Shukr Continue Rakho

Ramadan ke baad bhi inner peace zaroori hai. Raat ko sirf 5 minutes dua aur shukriya bolna – dil ko sukoon milta hai.


πŸ’¬ Tumhara Kya Experience Raha?

Agar tum bhi ek student ho, ya Ramadan + exam combo face kiya ho – comments mein zaroor apna experience share karo. Let’s support each other! πŸ’›

Agle post mein baat hogi:
"Ghar Baithe Blogging Se Income Kaise Start Karein – Students ke Liye Easy Guide."
So stay tuned!

Sunday, March 30, 2025

πŸ‘­ Ek Achi BFF Milna Itna Aasaan Nahi – Mera Bestie Ke Saath Safar!


"BFF – Ek Aisi Dosti Jo Hamesha Saath Rahe! πŸ’–πŸ‘­"

"Best Friends Forever – Na Koi Door Kar Saka, Na Koi Replace! πŸ’•"


πŸ”Ή Bachpan Ki Dosti, Jo Aaj Tak Waisi Hi HaiMeri aur meri BFF ki dosti bachpan se hai. Hum dono ke naam bhi ek jaise hi hain, bilkul chiki-minki jaisa! School mein sabhi hum dono ke naam lekar confuse ho jaate the aur aksar yeh kehte the ki hum dono behne lagti hain.

πŸ”Ή Har Jagah Saath – School Se College Tak Bachpan mein sirf saath khelne tak baat nahi thi, balki saath padhai bhi hoti thi. Har jagah saath – school ho, tuition ho ya college, humne ek doosre ka saath kabhi nahi chhoda. 12th mein bhi humne same stream choose ki, sirf isliye ki ek doosre ke saath reh sakein. College mein bhi ek hi course liya, taaki hamesha ek doosre ke saath rahein.

πŸ”Ή Dosti Jahan Hoti Hai, Wahan Jalan Bhi Hoti Hai Dost toh aur bhi the, lekin jahan zyada dosti hoti hai wahan jalan bhi hoti hai. Aise hi ek ladki aayi jo hamare beech duriyan laane ki koshish kar rahi thi. 10th class tak hum dono ek hi section mein the, lekin uske baad alag ho gaye. Bahut koshish ki, lekin ek hi class mein aana possible nahi ho paya. Is wajah se ek chhoti si doori aayi, lekin humne uska asar kabhi apni dosti par nahi hone diya.

πŸ”Ή Dukh-Sukh Ka Saathi Humne saath mein hasa, roye, ek doosre ka gussa bardasht kiya aur bina shabd kahe ek doosre ko samjha bhi. College ke dauraan bhi hum alag hone se bas thoda sa bach gaye!

πŸ”Ή Ek Hi BFF, Zindagi Bhar! Aaj tak hum dono ne kisi aur ko BFF nahi banaya, na banane ka mauka diya. Doston ki kami nahi, lekin jo jagah ek best friend ki hoti hai, woh sirf ek hi ko di ja sakti hai. Hamari dosti aaj bhi waise hi hai – jab bhi milte hain toh purani yaadon mein kho jaate hain aur wohi bachpana dobara jeete hain.

πŸ”Ή Masti, Pagalpanti Aur Purani Yaadein Ek din hum apne chhoti behan-bhai ko school le jaane gaye, aur wahan bhi mil kar itna masti ki ki sabhi bache humein senior students samajhne lage! Hamara rishta aisa hai ki jab bhi milte hain, duniya bhool jaate hain.

πŸ”Ή Meri BFF, Meri Jaan! ❤️ I love my BFF! Aur main usse dil se kehna chahti hoon – Thank you for coming into my life.

Mujhe lagta hai ki meri BFF duniya ki sabse best friend hai, kyunki woh mujhe samajhti hai, mere gusse ko bardasht karti hai, aur har achhe-bure waqt mein mere saath hoti hai. Ab hum dono ek doosre ki shaadi ka intezar kar rahe hain, jisme hamesha ki tarah saath mil kar enjoy karenge! πŸŽ‰


πŸ’¬ Aur aapki kya soch hai dosti ko lekar? Kya aapke life mein koi aisa hai jo aapke liye ek BFF jaisa hai? Kya aap bhi maante ho ki dosti toh bahut logon se hoti hai, par forever wala darja sirf ek ko hi milta hai? Comment karke zaroor batayein! πŸ€”πŸ’–


πŸ“’ Aapki Dosti Ki Kahani Kya Hai?
Agar aapki bhi ek BFF hai jiske bina zindagi adhuri lagti hai, toh comment karke batao! πŸ’¬
Aapke liye "Forever Best Friend" ka kya matlab hai? Kya aap bhi maante ho ki asli dosti ek hi insaan ke saath hoti hai? πŸ€”πŸ’–

Sunday, March 23, 2025

"Chhota Sa Break - Exams Ki Tayari Mein Busy! πŸŽ“✨"

Namaste doston! ❤️
 
 Aap sabka dil se shukriya ke aap mere blog GSSWM (Ghar Se Safar With Me) ka hissa ho aur itna pyaar dete ho. Aaj main aapse ek chhoti si baat share karna chahti hoon – mere final year ke exams shuru hone wale hain πŸ“š, isliye main kuch din ke liye blogging se thoda sa break le rahi hoon. Yeh waqt mere liye kaafi important hai, aur main chahti hoon ki main apne exams par puri tarah focus karu.
Lekin fikar mat kijiye! Jaise hi exams khatam honge, main wapas lautungi naye experiences, kahaniyon aur personal safar ke naye rang lekar. Aapke saath fir se apni journey ko share karna mere liye sabse zyada khushi ki baat hogi. 🌸 Tab tak aap sab mere liye duaayein karna aur thoda sa intezaar bhi 😊

πŸ™. Milte hain exams ke baad ek naye josh ke saath! πŸ’ͺ


 Apka apna,
 GSSWM 



 #GSSWM #LifeJourney #StudyBreak #ExamsTime #SeeYouSoon #ThankYou

Thursday, March 20, 2025

Ghar Se Freelancing Ka Safar

  Pehla Kadam Aur Seekhi Hui Baatein

"Chhote sapno se bade iraade – ghar se apne sapno ko udaan de rahi hoon. πŸŒΈπŸ’» #GSSWM #MeriKahani"


Mera Parivaar Aur Gaon Ki Zindagi

Main ek joint family me ek chhote se gaon me rehti hoon. Yahan ladkiyon ke liye ghar ke bahar jakar kaam karna mushkil hai. Family ke apne rules hain – ladkiyon ka phone chalana bhi ek badi baat hoti hai.

Ghar Se Kaam Karne Ka Sochna

Jab ghar ke kaam ke saath apna career banana mushkil ho, tab sapne dekhna bhi ek challenge lagta hai. Lekin maine decide kiya ki jo bhi karungi, ghar se hi karungi.

Reselling Ka Pehla Kadam

Maine har jagah research ki, videos dekhe, aur tab mujhe reselling ka idea mila. Maine apni friend ke sath Gloroad par kaam shuru kiya. WhatsApp aur Pinterest ka use kiya, lekin kuch time ke baad problems ke wajah se yeh kaam chhod diya.

YouTube Aur Freelancing Ki Shuruaat

Fir maine apne bhai ke sath milkar ek YouTube channel start kiya. Iske sath-sath freelancing aur blogging me bhi interest lena shuru kiya. Pehle to mushkil laga, lekin dheere dheere seekhne lagi.

Blogging Ka Sapna Aur Aaj Ka Din

Aaj blogging ke zariye main apni kahani aur jo kuch maine seekha wo duniya ke sath share kar rahi hoon. Yeh mere liye sirf ek blog nahi, ek sapna hai jo main poora karna chahti hoon.

Aapka Support Kyon Jaruri Hai

Agar aap bhi meri kahani se judte ho ya inspire hote ho, to please mujhe support karein! Aapka ek like, comment ya feedback mere liye ek nayi umeed hai.

Dhanyavaad! ❤️

  • GSSWM (Ghar Se Safar With Me)




Zindagi – Ek Safar, Jo Kabhi Rukta Nahi

  Zindagi... ek aisi kitaab jiska har panna alag hota hai, kabhi khushi se bhara hua, to kabhi aansuon se geela. Kabhi samajh hi nahi aata k...