Main ek chhote se gaon se hoon jahan par ladkiyon ka college jaana koi aam baat nahi thi. Hamare gaon mein sirf ek ladki thi jo college gayi thi, jinke paas main tuition padhti thi. Vo hamare gaon ki pehli ladki thi jo college tak pahunchi thi. Unhe dekh kar hi mere sapne bade hue.
Mere kuch doston ke saath mere ghar walon ne decide kiya ki hum sab ek saath ek bade mix (girls + boys) college mein admission lein. Mere ek dost ke papa ne mere papa se baat ki aur mere papa ko mujh par hamesha bharosa tha. Papa ne mujhe bhi pucha ki kya main us bade college mein jaana chahti hoon? Lekin gaon ke logo aur padose ke react karne ka tareeka dekh kar main thoda ghabra gayi aur decide kiya ki main ek girls college hi jaungi.
Papa ne kaha ki jo tujhe theek lage tu vo kar. Aur phir main aur mere 2 best friends ek girls college mein chale gaye.
![]() |
| "Hum teen dost, naye college ke canteen me apne sapno ko jeete hue – yaadgar din jo zindagi bhar yaad rahenge." |
College Life Ki Masti
Mujhe us waqt ye nahi pata tha ki ye college ka safar sirf kuch hi din ka hoga. Ham teeno dost college mein milkar badi masti karte the. Kabhi canteen mein jaate, kabhi college ke har kone mein ghoomte rehte. Hamare group ke aage poore college mein humari hi chali chalti thi. Hum canteen ke permanent customer ban gaye the, canteen wale uncle bhi hume ache se pehchanne lage the.
Lekin kuch mahine baad ek twist aa gaya.
College Change Karna Pada
Roz college jaana mushkil ho gaya kyunki girls college ka rule bahut strict tha aur family circumstances bhi badal gaye the. Mere ek dost ne to bade wale mix college mein transfer le liya, jabki main aur meri best friend ne external mode mein admission le liya.
BCA Ka Safar
External admission ke bawajood hum kabhi kabhi college jaate rehte the. Jab college badla to course bhi badla. Pehle main BA kar rahi thi, lekin naye college mein maine BCA select kar liya. Bina soche samjhe bas itna socha ki ghar se kaam karne ke options milenge.
Jab padhaai shuru hui tab pata chala ki BCA itna bhi aasaan nahi hai! Lekin ab rasta chuna tha to chalna to tha hi. Isme maine apni best friend ko bhi saath le liya tha. Jab usse dikkat hoti to kehti – “Tune hi fasaya mujhe BCA mein!”
Lekin sach to yeh hai ki hum dono ne mil kar hi ye decision liya tha. Sir ne bhi kaha tha – “BCA external ke liye nahi hai.” Par ab karna tha to karna tha.
Teen Saal Ka Safar
Teen saal kaise nikal gaye pata hi nahi chala. Beech beech mein failures bhi mile, challenges bhi aaye, par himmat nahi haari. Aakhir mein hum dono ache numbers se pass ho gaye.
Sabse zyada mushkil waqt aaya jab final year ka project banana tha. Tab samajh aaya ki college ka asli tension kya hota hai.
College Life Ki Yaadein
Mere liye asli college life wahi kuch din the jab main girls college mein apni best friends ke saath enjoy karti thi. Uske baad ka safar ek zimmedari wala safar tha jo kabhi aasan to kabhi kathin raha.
Par haan, ek baat zarur kahungi – "School ke din alag hote hain aur college ke din alag."
Conclusion
Aaj jab peeche mudh kar dekhti hoon to lagta hai ki woh college ke din meri zindagi ka ek anmol hissa the. Unhi dino ne mujhe strong banaya aur aage badhne ka hosla diya.
"Agar aapko meri kahani pasand aayi ho to comment karke zaroor batayein, aur apni journey bhi share karein!"




